Wednesday, 11 April 2018

Aadhar Card Me Mobile Number Registration Kaise Kare

Jab aadhar card naya naya aaya tha or ban rha tha to logo ko utna details pata nhi tha ki form me kya kya fill karna hai bas name , parents name , address or date of birth bhar kar aadhar card banwa liye banwane ke baad agar aap apna aadhar card status check yha se kar sakte hai.


Lekin abhi aadhar card me mobile number add karna bahut hi jaroori ho gya hai agar aapke aadhar card me mobile number add nhi hai to aap online aadhar card update nhi kar sakte hai or bhi nuksaan se jo aapko agle article me bataunga. 

Aadhar Card Me Mobile Number Kyo Add Kare :

jaise ki aap abhi dekh hi rahe hai government din prati din aadhar card ki importance logo ki life me badathe ja rhi hai ab agar aap sim bhi nikalna chahte hai to aadhar card must hai.

koi bhi banking ka kaam aap karna chahte hai to usme bhi aadhar card bahut hi important hai or agar hamare aadhar card me mobile number resister nhi hai to ham aadhar card ko apni marzi se online edit nhi kar sakte hai.

Agar aapke aadhar card me mobile number ragister nhi hai to aap aadhar card me puri tarh se verified nhi hai jisse aapko aage chal kar kafi problem ko face karna padh sakta hai isliye aadhar card me mobile number add kar le.

Aadhar Card Me Mobile Number Registration Kaise Kare :

Aaj ham aapko step by step aadhar card me mobile number kaise jode ka tutorial share kar rhe hai bas aap isse acche se read kare or isse follow kare to chaliye shuru karte hai

Step 1 :-  Sabse pahle aap yha click kare or Aadhaar Data Update/Correction Form Download kar le kyo ki ye kaam offline hota hai. 

Step 2 :- Forum download karne ke baad aap iska printout niklwa le phir iss forum ko apne details ke hisaab se bhar de. 

Step 3 :- aadhar card me mobile number add karne ke liye iss forum ke saath aapko 3 Identity proof attached karne hai jiske name ham niche dede rhe hai

1. Identity Proof
2. Address Proof
3. DOB Certificate

Step 4 :- Itna karne ke baad ab aapko iss forum ko ek address par send karna hai diye huye kisi ek address par aap apna Documents ko bej de

UIDAI,
Post Box
No. 10,
Chhindwara,
Madhya Pradesh-480001,
India
UIDAI,
Post Box
No. 99,
Banjara
Hills, Hyderabad-500034,
India

Ab jab aapki ye post diye huye kisi bhi ek address par pahuch jayegi to aapka mobile number aadhar card se add kar liya jayega. 

Aagar aapko hamara ye Aadhar Card Me Mobile Number Registration Kaise Kare ka post pasand aaya hai to isse facebook or whatsapp par apne dosto ke sath share kar de taki dusro ko bhi ye jaankari mil jaaye. 

Aagar aapko iss post se releted koi bhi sawaal hai to hamne niche ek comment box diya huaa hai aap wha se aasani se puch sakte hai

No comments:

Post a Comment